Saleem Ahmed

ja ke phir lauT jo aae wo zamana kaisa

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
jā ke phir lauT jo aa.e vo zamāna kaisā
terī ā.ankhoñ ne ye chheḌā hai fasāna kaisā
aañkh sarshār-e-tamannā hai to va.ada kar le
chaal kahtī hai ki ab lauT ke aanā kaisā
mujh se kahtā hai ki saa.e kī tarah saath haiñ ham
yuuñ na milne kā nikālā hai bahāna kaisā
us kā shikva to nahīñ hai na mile tum ham se
rañj us kā hai ki tum ne hameñ jaanā kaisā
ḳhud bhī sochā thā bahut us ne bhī pūchhā thā bahut
haal jab ḳhud hī na samjhe to sunānā kaisā
tujh ko paane kī havas thī so kise thā ma.alūm
apne hī aap ko kho baiTheñge paanā kaisā
Top Urdushayar.com