vasl o fasl kī har manzil meñ shāmil ik majbūrī thī
tujh se milte to kyā milte ḳhud se bhī mahjūrī thī
vasl ke saare lamhe jhūTe milnā qarz-e-judā.ī thā
saath hamāre pahlū-ba-pahlū qurb ke bhes meñ duurī thī
aahoñ kī tāmīreñ kī thiiñ sabr ke baaġh lagā.e the
shahr-e-vafā meñ mehnat-e-jāñ kī roz na.ī mazdūrī thī
bāteñ lākhoñ kuchh bhī kahiye lekin us ke ba.ad ye fikr
jaane kyā kahnā bhūle haiñ koī baat zarūrī thī
qissa chheḌā mehr o vafā kā avval-e-shab un ā.ankhoñ ne
raat kaTī aur umr guzārī phir bhī baat adhūrī thī
ba.ad meñ kyā anjām huā ye aage paḌhne vaale batā.eñ
us kī kitāb-e-dildārī kī pahlī jild to puurī thī