Saleem Ahmed

koi sitara-e-girdab aashna tha main

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
koī sitāra-e-girdāb āshnā thā maiñ
ki mauj mauj andheroñ meñ Dūbtā thā maiñ
us ek chehre meñ ābād the ka.ī chehre
us ek shaḳhs meñ kis kis ko dekhtā thā maiñ
na.e sitāre mirī raushnī meñ chalte the
charāġh thā ki sar-e-rāh jal rahā thā maiñ
safar meñ ishq ke ik aisā marhala aayā
vo DhūñDtā thā mujhe aur kho gayā thā maiñ
tamām umr kā hāsil sarāb o tishna-labī
mirā qusūr yahī thā ki sochtā thā maiñ
bigaḌ rahā thā maiñ duniyā ke zāviye se magar
ik aur zāviya thā jis se ban rahā thā maiñ
nahīñ rahā maiñ tire rāste kā patthar bhī
vo din bhī the tire ehsās meñ ḳhudā thā maiñ
mujhe gila na kisī sañg kā na aahan kā
usī ne toḌ diyā jis kā ā.īna thā maiñ
Top Urdushayar.com