Saleem Ahmed

baiThe hain sunahri kashti mein aur samne nila pani hai

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
baiThe haiñ sunahrī kashtī meñ aur sāmne niilā paanī hai
vo hañstī āñkheñ pūchhtī haiñ ye kitnā gahrā paanī hai
betāb havā ke jhoñkoñ kī fariyād sune to kaun sune
maujoñ pe taḌaptī kashtī hai aur gūñgā bahrā paanī hai
har mauj meñ giryāñ rahtā hai girdāb meñ raqsāñ rahtā hai
betāb bhī hai be-ḳhvāb bhī hai ye kaisā zinda paanī hai
bastī ke gharoñ ko kyā dekhe buniyād kī hurmat kyā jaane
sailāb kā shikva kaun kare sailāb to andhā paanī hai
is bastī meñ is dhartī par sairābī-e-jāñ kā haal na pūchh
yaañ āñkhoñ āñkhoñ aañsū haiñ aur dariyā dariyā paanī hai
ye raaz samajh meñ kab aatā āñkhoñ kī namī se samjhā huuñ
is gard-o-ġhubār kī duniyā meñ har chiiz se sachchā paanī hai
Top Urdushayar.com