Saleem Ahmed

na jaane sher mein kis dard ka hawala tha

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
na jaane sher meñ kis dard kā havāla thā
ki jo bhī lafz thā vo dil dukhāne vaalā thā
ufuq pe dekhnā thā maiñ qatār qāzoñ kī
mirā rafīq kahīñ duur jaane vaalā thā
mirā ḳhayāl thā yā khaultā huā paanī
mire ḳhayāl ne barsoñ mujhe ubālā thā
abhī nahīñ hai mujhe sard o garm kī pahchān
ye mere hāthoñ meñ añgār thā ki zhāla thā
maiñ aaj tak koī vaisī ġhazal na likh paayā
vo sāneha to bahut dil dukhāne vaalā thā
ma.ānī-e-shab-e-tārīk khul rahe the 'salīm'
jahāñ charāġh nahīñ thā vahāñ ujālā thā
Top Urdushayar.com