Saleem Ahmed

jis ka inkar bhi inkar na samjha jae

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
jis kā inkār bhī inkār na samjhā jaa.e
ham se vo yār-e-tarah-dār na samjhā jaa.e
itnī kāvish bhī na kar merī asīrī ke liye
tū kahīñ merā giraftār na samjhā jaa.e
ab jo Thahrī hai mulāqāt to is shart ke saath
shauq ko dar-ḳhur-e-iz.hār na samjhā jaa.e
naala bulbul kā jo suntā hai to khil uThtā hai gul
ishq ko muft kī begār na samjhā jaa.e
ishq ko shaad kare ġham kā muqaddar badle
husn ko itnā bhī muḳhtār na samjhā jaa.e
baḌh chalā aaj bahut had se junūn-e-gustāḳh
ab kahīñ us se sar-e-dār na samjhā jaa.e
dil ke lene se 'salīm' us ko nahīñ hai inkār
lekin is tarah ki iqrār na samjhā jaa.e
Top Urdushayar.com