Saleem Ahmed

lamha-e-rafta ka dil mein zaKHm sa ban jaega

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
lamha-e-rafta kā dil meñ zaḳhm sā ban jā.egā
jo na pur hogā kabhī aisā ḳhalā ban jā.egā
ye na.e naqsh-e-qadam mere bhaTakne se bane
log jab in par chaleñge rāsta ban jā.egā
guuñj sunñī ho to tanhā vādiyoñ meñ chīḳhiye
ek hī āvāz se ik silsila ban jā.egā
jazb kar de merī miTTī meñ latāfat kā mizāj
phir vo tere shahr kī āb-o-havā ban jā.egā
khīñch lā.egī bagūloñ ko ye vīrānī mirī
merī tanhā.ī se merā qāfila ban jā.egā
us meñ lau rakh dūñgā maiñ jalte hue ehsās kī
lafz jo hoñToñ se niklegā diyā ban jā.egā
jugnuoñ kī mash.aloñ se sehn kī dīvār par
raqs kartī raushnī kā dā.era ban jā.egā
talḳhiyāñ ehsās kī jab ḳhuun meñ ghul jā.eñgī
merā chehra mere ġham kā aa.ina ban jā.egā
ik barhaman ne ye aa ke sehan-e-masjid meñ kahā
ishq jis patthar ko chhū le vo ḳhudā ban jā.egā
ek sīdhī baat hai milnā na milnā ishq meñ
is pe sochoge to ye bhī mas.ala ban jā.egā
mere siine meñ abhī ik jazba-e-benām hai
zabt karte karte harf-e-mudda.ā ban jā.egā
dil meñ jo kuchh hai vo kah do dost se varna 'salīm'
harf-e-nā-gufta diloñ kā fāsla ban jā.egā
Top Urdushayar.com