Saleem Ahmed

ahl-e-dil ne ishq mein chaha tha jaisa ho gaya

Saleem Ahmed

Barabanki, Uttar pradesh, India

1927-1983
ahl-e-dil ne ishq meñ chāhā thā jaisā ho gayā
aur phir kuchh shaan se aisī ki sochā ho gayā
aib apnī aañkh kā yā faiz terā kyā kahūñ
ġhair kī sūrat pe mujh ko terā dhokā ho gayā
tujh se ham-āhañg thā utnā kashish jaatī rahī
maiñ tirā ham-qāfiya thā aib-e-ītā ho gayā
yaad ne aa kar yakāyak parda khīñchā duur tak
maiñ bharī mahfil meñ baiThā thā ki tanhā ho gayā
kashtī-e-sabr-o-tahammul merī tūfānī huī
raat ko terā badan jab mauj-e-dariyā ho gayā
kyā huā gar tere hoñToñ ne masīhā.ī na kī
terī āñkheñ dekh kar bīmār achchhā ho gayā
ishq miTTī kā ajab thā mujh ko bachpan meñ 'salīm'
khel meñ kyā sochtā maiñ jism mailā ho gayā
Top Urdushayar.com