faisle lamhāt ke nasloñ pe bhārī ho ga.e
baap hākim thā magar beTe bhikārī ho ga.e
deviyāñ pahuñchīñ thiiñ apne baal bikhrā.e hue
devtā mandir se nikle aur pujārī ho ga.e
raushnī kī jañg meñ tārīkiyāñ paidā huiiñ
chāñd pāgal ho gayā taare bhikārī ho ga.e
rakh diye jā.eñge neze lafz aur hoñToñ ke biich
zill-e-sub.hānī ke ahkāmāt jaarī ho ga.e
narm-o-nāzuk halke-phulke ruuī jaise ḳhvāb the
āñsuoñ meñ bhīgne ke ba.ad bhārī ho ga.e