roz tāroñ ko numā.ish meñ ḳhalal paḌtā hai
chāñd pāgal hai añdhere meñ nikal paḌtā hai
ek dīvāna musāfir hai mirī āñkhoñ meñ
vaqt-be-vaqt Thahar jaatā hai chal paḌtā hai
apnī ta.abīr ke chakkar meñ mirā jāgtā ḳhvāb
roz sūraj kī tarah ghar se nikal paḌtā hai
roz patthar kī himāyat meñ ġhazal likhte haiñ
roz shīshoñ se koī kaam nikal paḌtā hai
us kī yaad aa.ī hai sāñso zarā āhista chalo
dhaḌkanoñ se bhī ibādat meñ ḳhalal paḌtā hai