Rahat Indori

ise saman-e-safar jaan ye jugnu rakh le

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
ise sāmān-e-safar jaan ye jugnū rakh le
raah meñ tīrgī hogī mire aañsū rakh le
tū jo chāhe to tirā jhuuT bhī bik saktā hai
shart itnī hai ki sone kī tarāzū rakh le
vo koī jism nahīñ hai ki use chhū bhī sakeñ
haañ agar naam hī rakhnā hai to ḳhushbū rakh le
tujh ko an-dekhī bulandī meñ safar karnā hai
ehtiyātan mirī himmat mire baazū rakh le
mirī ḳhvāhish hai ki āñgan meñ na dīvār uThe
mire bhaa.ī mire hisse kī zamīñ tū rakh le
Top Urdushayar.com