sirf ḳhanjar hī nahīñ āñkhoñ meñ paanī chāhiye
ai ḳhudā dushman bhī mujh ko ḳhāndānī chāhiye
shahr kī saarī alif-lailā.eñ būḌhī ho chukīñ
shāhzāde ko koī taaza kahānī chāhiye
maiñ ne ai sūraj tujhe puujā nahīñ samjhā to hai
mere hisse meñ bhī thoḌī dhuup aanī chāhiye
merī qīmat kaun de saktā hai is bāzār meñ
tum zuleḳhā ho tumheñ qīmat lagānī chāhiye
zindagī hai ik safar aur zindagī kī raah meñ
zindagī bhī aa.e to Thokar lagānī chāhiye
maiñ ne apnī ḳhushk āñkhoñ se lahū chhalkā diyā
ik samundar kah rahā thā mujh ko paanī chāhiye