kabhī dimāġh kabhī dil kabhī nazar meñ raho
ye sab tumhāre hī ghar haiñ kisī bhī ghar meñ raho
jalā na lo kahīñ hamdardiyoñ meñ apnā vajūd
galī meñ aag lagī ho to apne ghar meñ raho
tumheñ pata ye chale ghar kī rāhateñ kyā haiñ
hamārī tarah agar chaar din safar meñ raho
hai ab ye haal ki dar dar bhaTakte phirte haiñ
ġhamoñ se maiñ ne kahā thā ki mere ghar meñ raho
kisī ko zaḳhm diye haiñ kisī ko phuul diye
burī ho chāhe bhalī ho magar ḳhabar meñ raho