Rahat Indori

zindagi ki har kahani be-asar ho jaegi

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
zindagī kī har kahānī be-asar ho jā.egī
ham na hoñge to ye duniyā dar-ba-dar ho jā.egī
paaoñ patthar kar ke chhoḌegī agar ruk jā.iye
chalte rahiye to zamīñ bhī ham-safar ho jā.egī
jugnuoñ ko saath le kar raat raushan kījiye
rāsta sūraj kā dekhā to sahar ho jā.egī
zindagī bhī kaash mere saath rahtī umr-bhar
ḳhair ab jaise bhī honī hai basar ho jā.egī
tum ne ḳhud hī sar chaḌhā.ī thī so ab chakkho mazā
maiñ na kahtā thā ki duniyā dard-e-sar ho jā.egī
talḳhiyāñ bhī lāzmī haiñ zindagī ke vāste
itnā mīThā ban ke mat rahiye shakar ho jā.egī
Top Urdushayar.com