apne dam se guzar auqāt nahīñ kartā maiñ
kaise kah duuñ ki ġhalat baat nahīñ kartā maiñ
shaam hote hī mire ghar meñ sahar hotī hai
raat bhī hotī hai par raat nahīñ kartā maiñ
aaj phir ḳhud se ḳhafā huuñ to yahī kartā huuñ
aaj phir ḳhud se koī baat nahīñ kartā maiñ
sirf ik baat hī se baat baḌhī hai itnī
sochtā huuñ ki mulāqāt nahīñ kartā maiñ
kyā burā hai jo mujhe log burā kahte haiñ
kaam karte haiñ jo hazrāt nahīñ kartā maiñ