maiñ bhaag ke jā.ūñgā kahāñ apne vatan se
jiitā huuñ masā.ib kī baqā mere liye hai
sach bolne vaale ko Darāte ho sitam se
ruk jaao Thahar jaao jazā mere liye hai
afsos kaTī umr kutub-ḳhānoñ meñ lekin
ye vus.at-e-sahrā ye fazā mere liye hai
meñ rāh-e-yagāna pe hamesha se chalā huuñ
rusvā.ī tabāhī to sadā mere liye hai
mujrim huuñ ki fascism ke saa.e meñ huuñ jiitā
'bāqar' ko bachā lo ye sazā mere liye hai