Rahat Indori

sirf sach aur jhuT ki mizan mein rakkhe rahe

Rahat Indori

Indore, Madhya Pradesh, India

1950
sirf sach aur jhuuT kī mīzān meñ rakkhe rahe
ham bahādur the magar maidān meñ rakkhe rahe
jugnuoñ ne phir añdheroñ se laḌā.ī jiit lī
chāñd sūraj ghar ke raushan-dān meñ rakkhe rahe
dhīre dhīre saarī kirneñ ḳhud-kushī karne lagīñ
ham sahīfa the magar juzdān meñ rakkhe rahe
band kamre khol kar sachchā.iyāñ rahne lagīñ
ḳhvāb kachchī dhuup the dālān meñ rakkhe rahe
sirf itnā fāsla hai zindagī se maut kā
shāḳh se toḌe ga.e gul-dān meñ rakkhe rahe
zindagī bhar apnī gūñgī dhaḌkanoñ ke saath saath
ham bhī ghar ke qīmtī sāmān meñ rakkhe rahe
Top Urdushayar.com