peḌ girtā hai to jo us pe guzar hotī hai
ek saa.e ke sivā kis ko ḳhabar hotī hai
husn hotā hai kisī shai kā koī apnā hī
aur phir dekhne vaale kī nazar hotī hai
ham nahīñ tīrgī se ḳhaufzada hone ke
jānte haiñ ki har ik shab kī sahar hotī hai
aap ne is ke fasāne hī sune hote haiñ
aur achānak ye balā aap ke sar hotī hai
mere ash.ār us āvāz kī haiñ guuñj faqat
vo ik āvāz jo dil TūTne par hotī hai