maiñ roz-e-hijr ko barbād kartā rahtā huuñ
shab-e-visāl hī ko yaad kartā rahtā huuñ
merī ye uñgliyāñ key-pad par thiraktī haiñ
ḳhayāl ke parind āzād kartā rahtā huuñ
maiñ apne chāhne vāloñ se kyā kahūñ ki unheñ
na chāhte hue nāshād kartā rahtā huuñ
faqat duā.eñ mirī dastaras meñ haiñ so maiñ
faqat duāoñ kī imdād kartā rahtā huuñ
aur is tarah se mirī shab guzar bhī jaatī hai
sahar ko shaam se irshād kartā rahtā huuñ