Tarkash Pradeep

pagal wahshi tanha tanha ujDa ujDa dikhta hun

Tarkash Pradeep

Punjab, India

1984
pāgal vahshī tanhā tanhā ujḌā ujḌā dikhtā huuñ
kitne ā.īne badle haiñ maiñ vaise kā vaisā huuñ
phir se mujh ko pāgal-pan kā daura paḌne vaalā hai
phir se tumhārī yādoñ kī almārī khole baiThā huuñ
apne sivā na kisī ko kuchh bhī samjhā samjhūñgā shāyad
maiñ aise hī jiitī hai maiñ bhī aise hī jiitā huuñ
merā piñjra khol diyā hai tum bhī ajiib shikārī ho
apne hī par kaaT liye haiñ maiñ bhī ajiib parinda huuñ
mere yahāñ kā ik rasta mere apne andar jaatā hai
aur maiñ isī raste pe na chalne kī zid le kar baiThā huuñ
Top Urdushayar.com