parī-sūrat nazāra DhūñDte haiñ
musāfir haiñ sahārā DhūñDte haiñ
charāġhoñ ko zarūrat kyā paḌī jo
havāoñ kā sahārā DhūñDte haiñ
sitāroñ sā koī palkoñ pe apnī
vo ashkoñ meñ nazāra DhūñDte haiñ
paḌī aadat hameñ kyā hārne kī
jahāñ dekho ḳhasāra DhūñDte haiñ
ye vasl-e-shab ḳhalish se kam nahīñ hai
guzar jaa.e kināra DhūñDte haiñ
hue jo mast 'sāġhar' jaam pī kar
hasīñ dilkash kinārā DhūñDte haiñ