zindagī ko zaḳhm kī lazzat se mat mahrūm kar
rāste ke pattharoñ se ḳhairiyat ma.alūm kar
TuuT kar bikhrī huī talvār ke TukḌe sameT
aur apne haar jaane kā sabab ma.alūm kar
jāgtī āñkhoñ ke ḳhvāboñ ko ġhazal kā naam de
raat bhar kī karvaToñ kā zā.iqa manzūm kar
shaam tak lauT ā.ūñgā hāthoñ kā ḳhālī-pan liye
aaj phir niklā huuñ maiñ ghar se hathelī chuum kar
mat sikhā lahje ko apnī barchhiyoñ ke paiñtare
zinda rahnā hai to lahje ko zarā ma.asūm kar