be-sabab tujh se har ik baat pe nālāñ honā
apnā pesha hī jo Thahrā hai pareshāñ honā
itnī rusvā.iyāñ sah lī haiñ to ik ye bhī sahī
ham ko manzūr he minnat-kash-e-darbāñ honā
tujh meñ kyā baat hai jo mujh meñ nahīñ hai zālim
haañ magar tere liye merā pareshāñ honā
haa.e us bazm ke ādāb jahāñ lāzim ho
kabhī hairāñ nazar aanā kabhī hairāñ honā
umr bhar ke liye kaafī hai vahī ek jhalak
tum ko lāzim nahīñ har shai se numāyāñ honā
ḳhāmushī merī kahīñ aur pashemāñ na kare
tum agar ho bhī to ḳhalvat meñ pashemāñ honā
log dekheñ to na jaane use kyā samjheñge
aa.ina dekhnā terā mirā hairāñ honā
jaise sāhil se chhuḌā letī haiñ maujeñ dāman
kitnā saada hai tirā mujh se gurezāñ honā
haiñ tere ruḳh pe vo taqdīs ke partav ki tujhe
zeb detā hī nahīñ dushman-e-īmāñ honā
kyā ḳhabar un ko ki hai kitnā ajiib ai 'ālī'
ik garāñ shai kā kisī ke liye arzāñ honā