Jameeluddin Aali

umr bhar ba-asani bar-e-gham uThane se

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
umr bhar ba-āsānī bār-e-ġham uThāne se
un pe e'tibār aayā ḳhud ko āzmāne se
is hujūm meñ tujh ko kyā ḳhabar huī hogī
kis ko kyā ta.alluq thā tere āstāne se
yuuñ salām aane par ik ḳhalish sī hotī hai
kaash ham ko bulvāte vo kisī bahāne se
haañ to un kī ḳhātir se kyuuñ tarāvasheñ karte
jis tarah vahāñ guzrī kah ga.e zamāne se
jab bhī bazm-e-ālam meñ koī fitna uThtā hai
yā tumhārī mahfil se yā ġharīb-ḳhāne se
silsila yahī hogā ruḳh badalte jā.eñge
maiñ tirī haqīqat se tū mire fasāne se
Top Urdushayar.com