koī to shakl mohabbat meñ sāzgār aa.e
hañsī nahīñ hai to rone se hī qarār aa.e
hai ek ne.amat-e-uzmā ġham-e-mohabbat bhī
magar ye shart ki insāñ ko sāzgār aa.e
junūn-e-dasht-pasandī batā.e detā hai
guzārnī thī jo ghar meñ vo ham guzār aa.e
guzārnī hai mujhe umr tere qadmoñ meñ
mujhe na kyuuñ tire va.adoñ pe e'tibār aa.e
tumhārī bazm se aa kar vahī ḳhayāl rahā
ham ek baar ga.e tum hazār baar aa.e
nigāh-e-dost koī aur baat hai varna
tū be-qarār kare aur mujhe qarār aa.e
hai mutma.in bhī to kis kis umīd-o-bīm ke saath
vo nā-murād jise lutf-e-intizār aa.e
batā ga.ī hai jo mujh ko vo be-qarār nigāh
na kah sakūñgā agar aaj bhī qarār aa.e
ye imtiyāz hai 'ġhālib' ke ba.ad 'ālī' kā
ki jis pe aap mare haiñ use bhī maar aa.e