Jameeluddin Aali

tere KHayal ke diwar-o-dar banate hain

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
tere ḳhayāl ke dīvār-o-dar banāte haiñ
ham apne ghar meñ bhī terā hī ghar banāte haiñ
bajā.e yaum-e-malāmat rakhā hai jashn mirā
mire bhī dost mujhe kis qadar banāte haiñ
bikherte raho sahrā meñ biij ulfat ke
ki biij hī to ubhar kar shajar banāte haiñ
bas ab hikāyat-e-mazdūrī-e-vafā na banā
vo ghar unheñ nahīñ milte jo ghar banāte haiñ
tirā bhī naam chhapā vaj.h-e-marg-e-āshiq meñ
ye dekh be-ḳhabare yuuñ ḳhabar banāte haiñ
vo kyā ḳhudā kī parastish kareñge merī tarah
jo ek but bhī bahut soch kar banāte haiñ
kahā ye kis ne ki hai qasr-e-ishq rahn-e-shabāb
banāne vaale ise umr-bhar banāte haiñ
tū aa.e to tirī kārī-garī kī laaj rahe
ham aaj dasht meñ rah kar bhī ghar banāte haiñ
milī na fursat-e-ārā.ish-e-bayābāñ bhī
ki ham yahāñ bhī tire bām-o-dar banāte haiñ
adū havāo karāchī ke log haare nahīñ
jo ghar girāo vo bār-e-digar banāte haiñ
abu-dhabi meñ hamesha na.ī ġhazal 'ālī'
ye log hī to tujhe mo'tabar banāte haiñ
Top Urdushayar.com