ek ajiib raag hai ek ajiib guftugū
saat suroñ kī aag hai āThvīñ sur kī justujū
bujhte hue mire ḳhayāl jin meñ hazār-hā savāl
phir se bhaḌak ke ruuh meñ phail ga.e haiñ chār-sū
tīra-shabī pe sabr thā so vo kisī ko bhā gayā
aap hī aap chhā gayā ek sahāb-e-rañg-o-bū
hañstī huī ga.ī hai sub.h pyaar se aa rahī hai shaam
terī shabīh ban ga.ī vaqt kī gard hū-ba-hū
phir ye tamām silsila kyā hai kidhar ko jā.egā
merī talāsh dar-ba-dar terā gurez kū-ba-kū
ḳhūn-e-junūñ to jal gayā shauq kidhar nikal gayā
sust haiñ dil kī dhaḌkaneñ tez hai nabz-e-ārzū
terā mirā qusūr kyā ye to hai jabr-e-irtiqā
bas vo jo rabt ho gayā aap hī pā gayā numū
maiñ jo rahā huuñ be-suḳhan ye bhī hai ehtirām-e-fan
yaanī mujhe aziiz thī apnī ġhazal kī aabrū