Jameeluddin Aali

haqiqaton ko fasana bana ke bhul gaya

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
haqīqatoñ ko fasāna banā ke bhuul gayā
maiñ tere ishq kī har choT khā ke bhuul gayā
zarā ye dūrī-e-ehsās-e-husn-o-ishq to dekh
ki maiñ tujhe tire nazdīk aa ke bhuul gayā
ab us se baḌh ke bhī vāraftagī-e-dil kyā ho
ki tujh ko ziist kā hāsil banā ke bhuul gayā
gumān jis pe rahā manziloñ kā ik muddat
vo rahguzār bhī manzil meñ aa ke bhuul gayā
ab aisī hairat-o-vāraftagī ko kyā kahiye
duā ko haath uThā.e uThā ke bhuul gayā
dil-o-jigar haiñ ki garmī se pighle jaate haiñ
koī charāġh-e-tamannā jalā ke bhuul gayā
Top Urdushayar.com