ye ishq kī galiyāñ jin meñ ham kis kis aalam meñ aa.e ga.e
kahtī haiñ ki hazrat ab kaise tum aaj yahāñ kyuuñ paa.e ga.e
ik shart hai yaañ ḳhushbu-e-vafā yaad aa.e to karnā yaad zarā
jab tum pe bharosā thā gul kā kyā mahke kyā mahkā.e ga.e
hai ye vahī lauh-e-bāb-e-junūñ likkhā hai na pūchho kyā aur kyuuñ
tum laa.e kalīd-e-jazb-e-darūñ aur sab manzar dikhlā.e ga.e
ik taḳht-e-ravān-e-sher aayā kuchh shāh-e-suḳhan na farmāyā
phir tāj-e-tarannum pahnāyā aur ġhazloñ meñ tulvā.e ga.e
ik tab-e-rasā se kyā bantā ye un galiyoñ kā sadqa thā
vo lafz aur vo uslūb mile aur vo ma.anī sajvā.e ga.e
hairat se Thahar jaatī thī yahāñ ye kahtī huī har kāhkashāñ
jab yuuñ mil jaanā mumkin hai to phir ham kyuuñ phailā.e ga.e
duniyā ke sahī andāz bahut un galiyoñ ke bhī haiñ raaz bahut
jo Thahre vo sar-afrāz hue jo nikle vo Thukrā.e ga.e