kyā kyā diye fareb har ik e'tibār ne
apnā banā diyā hai tire intizār ne
kyā jaane kitne ahl-e-tarīqat ko aaj tak
gumrāh kar diyā hai tire rahguzār ne
kuchh un kī justujū hai na kuchh apnī guftugū
ye kyā banā diyā sitam-e-rozgār ne
haañ ai nigāh-e-garm na kar muḳhtasar hayāt
ham ko hazār bojh abhī haiñ utārne
uljhe hue haiñ gesū-e-jānāñ meñ aaj tak
'ālī' chale the kākul-e-gītī sañvārne