ye jo baḌhtī huī judā.ī hai
shāyad āġhāz-e-be-vafā.ī hai
tū na badnām ho usī ḳhātir
saarī duniyā se āshnā.ī hai
kis qadar kashmakash ke ba.ad khulā
ishq hī ishq se rihā.ī hai
shām-e-ġham maiñ to chāñd huuñ us kā
mere ghar kyā samajh ke aa.ī hai
zaḳhm-e-dil be-hijāb ho ke ubhar
koī taqrīb-e-rū-numā.ī hai
uThtā jaatā hai hausloñ kā bharam
ik sahārā shikasta-pā.ī hai
jaan 'ālī' nahīñ paḌī āsāñ
maut ro ro ke muskurā.ī hai