jis sūraj kī aas lagī hai shāyad vo bhī aa.e
tum ye kaho ḳhud tum ne ab tak kitne diye jalā.e
apnā kaam hai sirf mohabbat baaqī us kā kaam
jab chāhe vo rūThe ham se jab chāhe man jaa.e
kyā kyā rog lage haiñ dil ko kyā kyā un ke bhed
ham sab ko samjhāne vaale kaun hameñ samjhā.e
ek isī ummīd pe haiñ sab dushman dost qubūl
kyā jaane is sāda-ravī meñ kaun kahāñ mil jaa.e
duniyā vaale sab sachche par jiinā hai is ko bhī
ek ġharīb akelā paapī kis kis se sharmā.e
itnā bhī majbūr na karnā varna ham kah deñge
o 'ālī' par hañsne vaale tū aalī ban jaa.e