Jameeluddin Aali

meri be-hauslagi is se siwa aur sahi

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
merī be-hauslagī is se sivā aur sahī
aur chāho to mohabbat kā silā aur sahī
yuuñ bhī kuchh kam to na the itnī bahāroñ ke hujūm
in meñ shāmil tire dāman kī havā aur sahī
mujh ko isrār kahāñ hai ki mohabbat jānūñ
aaj se ma.anī-o-andāz-o-adā aur sahī
talab-e-dard meñ dil had se guzartā kab thā
tum ne pūchhā thā ki aur is ne kahā aur sahī
ab to har shahar meñ us ke hī qasīde paḌhiye
vo jo pahle hī ḳhafā hai vo ḳhafā aur sahī
ham isī rahmat-o-zahmat ke haiñ aadī yārab
jaisī bhī hai isī duniyā kī fazā aur sahī
sabaq-e-be-gunahī tishna-e-takmīl bhī thā
ik nayā falsafa-e-jurm-o-sazā aur sahī
aaj aap apne mahāsin kā bayāñ kar liije
mahfil-e-tazkira-e-ahl-e-vafā aur sahī
kyā zarūrī hai ki andāz-e-bahārāñ rakkhe
ab jo kuchh aur hai raftār-e-sabā aur sahī
ab bahut shor sahī kal to koī parkhegā
in sadāoñ meñ faqīroñ kī navā aur sahī
kyuuñ na 'ālī' se alaa.ī pe ġhazal likhvā.e
ek bedādgar-e-ranj-fazā aur sahī
Top Urdushayar.com