Jameeluddin Aali

bahut dinon se mujhe tera intizar hai aa ja

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
bahut dinoñ se mujhe terā intizār hai aa jā
aur ab to ḳhaas vahī mausam-e-bahār hai aa jā
kahāñ ye hosh ki uslūb-e-tāza se tujhe likhūñ
ki ruuh tere liye saḳht be-qarār hai aa jā
guzar chalī haiñ bahut ġham kī shorisheñ bhī hadoñ se
magar abhī to tirā sab pe iḳhtiyār hai aa jā
vo terī yaad ki ab tak sukūn-e-qalb-e-tapāñ thī
tirī qasam hai ki ab vo bhī nāgavār hai aa jā
ġhazal ke shikve ġhazal ke muāmlāt judā haiñ
mirī hī tarah se to bhī vafā-shi.ār hai aa jā
badal rahā ho zamāna magar jahān-e-tamannā
tire liye to abad tak bhī sāzgār hai aa jā
hazār tarah ke afkār dil ko rauñd rahe haiñ
muqāble meñ tire rañj-e-rozgār hai aa jā
Top Urdushayar.com