Jameeluddin Aali

samajh saka na koi raaz-e-husn begana

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
samajh sakā na koī rāz-e-husn begāna
juz iiñ niyāz-pasandī-e-qalb-e-dīvāna
ye chāñdnī ye fazā ye havā-e-mai-ḳhāna
davām ho to mile mujh ko ek paimāna
tirī nigāh kī tausīf ho rahī hai magar
mirī hī tishna-labī bhar rahī hai paimāna
jahāñ pahuñch na sakā koī jazba-e-muhtāt
vahāñ gayā hai mirā zauq-e-sarfaroshāna
nahīñ hai sarmad-o-mansūr par hī ḳhatm junūñ
mujhe bhī logoñ ne aksar kahā hai dīvāna
shikāyat-e-ġham-e-dil ko zabāñ nahīñ khultī
ki is nigāh ke andāz haiñ karīmāna
tamām bazm meñ ik ham ḳhamosh baiThe haiñ
sunā rahe haiñ sabhī tujh ko terā afsāna
yaqīn rakh ki tirī anjuman se ham bhī kabhī
tirī hī tarah se guzreñge be-niyāzāna
guzārnī hai shab-e-ġham kisī tarah ai dost
na apnī koī kahānī na koī afsāna
na pūchh mujh se kisī shai kī asl ai hamdam
ki dekhtā huuñ maiñ ābādiyoñ meñ vīrāna
ajab itāb-e-mashiyyat hai mujh pe ai 'ālī'
gadā banā ke diyā hai mizāj shāhāna
Top Urdushayar.com