umr-bhar kā yaad hai bas ek afsāna mujhe
maiñ ne pahchānā jise us ne na pahchānā mujhe
anjuman kī anjuman mujh se muḳhātab ho ga.ī
aap ne dekhā thā shāyad be-niyāzāna mujhe
pahle dīvāna kahā karte the lekin āj-kal
log kahte haiñ sarāpā terā afsāna mujhe
gaahe gaahe zikr kar lene se kyā yaad aa.egā
yaad hī rakhnā mujhe yā bhuul hī jaanā mujhe
ḳhvāb hī dekhā hai lekin haa.e kis lazzat kā ḳhvāb
vo mire ghar terā aanā aur bahlānā mujhe