Jameeluddin Aali

ab tak mujhe na koi mera raaz-dan mila

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
ab tak mujhe na koī mirā rāz-dāñ milā
jo bhī milā asīr-e-zamān-o-makāñ milā
kyā jaane kyā samajh ke hamesha kiyā gurez
sau baar bijliyoñ ko mirā āshiyāñ milā
uktā gayā huuñ jāda-e-nau kī talāsh se
har raah meñ koī na koī kārvāñ milā
muddat meñ ham ne aap banāyā thā ik ufuq
jaate the us taraf ki tirā āstāñ milā
kin hausloñ ke kitne diye bujh ke rah ga.e
ai soz-e-āshiqī tū bahut hī garāñ milā
kyā kuchh luTā diyā hai tirī har adā ke saath
kyā mil gayā hameñ jo ye husn-e-bayāñ milā
thā ek rāz-dār-e-mohabbat se lutf-e-zīst
lekin vo rāz-dār-e-mohabbat kahāñ milā
ik umr ba.ad isī mutalavvin nigāh meñ
kitnī mohabbatoñ kā ḳhazāna nihāñ milā
ab justujū kā ruḳh jo muḌā hai to mat pukār
sab tujh ko DhūñDte the magar tū kahāñ milā
Top Urdushayar.com