begāna-e-qayūd-e-bahār-o-ḳhizāñ rahe
yārab mirā junūn-e-mohabbat javāñ rahe
ye bhī samajh sakī hai na ab tak nigāh-e-shauq
tum ne kahāñ fareb diyā aur kahāñ rahe
duniyā meñ chāk-dil ko nahīñ pūchhtā koī
kyā jaane kitne ahl-e-junūñ be-nishāñ rahe
us anjuman meñ ham bhī pahuñch to ga.e magar
jab tak rahe mizāj-e-nazar par garāñ rahe
kyā kyā jafā.eñ kī haiñ har ik aarzū ke saath
aur is tarah ki un pe vafā kā gumāñ rahe
ab yuuñ karam na kar ki ba-īñ vasf-e-husn-o-nāz
shāyad tujhe bhī ishq kā saudā garāñ rahe
lene de apnā naam bhī mujh ko ki mere ba.ad
tū bhī mirī ġhazal ke sabab jāvedāñ rahe