Jameeluddin Aali

aankhon mein haya aa jati hai honTon pe tabassum late hain

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
āñkhoñ meñ hayā aa jaatī hai hoñToñ pe tabassum laate haiñ
vo mujh pe sitam jab karte haiñ tasvīr-e-karam ban jaate haiñ
ab aap ināyat karne kī taklīf hī kyuuñ farmāte haiñ
din yuuñ bhī guzarne hī Thahre din yuuñ bhī guzar hī jaate haiñ
allāh re ḳhas-o-ḳhāshāk se ye hañs hañs ke chaTānoñ kā kahnā
vo tūfāñ ko kyā samjheñge jo tūfāñ meñ bah jaate haiñ
ik samt musalsal ummīdeñ ik samt musalsal mahrūmī
kab tak ye uThe bār-e-hastī shāne haiñ ki TuuTe jaate haiñ
ab aisī karam kī bātoñ se dabtī haiñ kahīñ dil kī choTeñ
tum jitnā miTāte jaate ho ye naqsh ubharte aate haiñ
is daur-e-pareshānī meñ kabhī vo vaqt bhī aatā hai 'ālī'
kuchh dil bhī dhoke khātā hai kuchh vo bhī karam farmāte haiñ
Top Urdushayar.com