tā-abad ek hī charchā hogā
koī ham sā koī tum sā hogā
isī tārīk zamīñ kā manzar
chāñd par chāñdnī jaisā hogā
sūraj aayā hai mirī samt magar
dūsrī samt añdherā hogā
kaash pahle se koī batlā de
kis tarah zikr hamārā hogā
aise begāna na sunñā logo
ye bhī afsāna kisī kā hogā
vo nahīñ aa.egā is mahfil meñ
duur hī duur se suntā hogā
aa.ī be-sāḳhta har sher pe daad
kitne ma.anī nahīñ samjhā hogā
kaun thā jis ne rakhī tujh se ummīd
haañ to vo shaḳhs mujhī sā hogā
kaun thā abr jo ban kar barsā
haañ to vo tujh ko tarastā hogā
kaun thā jis se huī tai manzil
haañ to pahle vo bhaTaktā hogā
kaun thā jis se ye sho.ale bhaḌke
haañ to vo ḳhuub sulagtā hogā
tum raho chup ki ġhazal-ḳhvāñ 'ālī'
na burā hogā na achchhā hogā