gilā nahīñ jo vo begāna-vār guzre haiñ
ham aise ahl-e-suḳhan be-shumār guzre haiñ
taras na khaao mirī shiddat-e-tabāhī par
ki umr bhar yahī lail-o-nahār guzre haiñ
tamām-umr rahā ḳhauf-e-nā-pazīrā.ī
jidhar se guzre haiñ dīvāna-vār guzre haiñ
hamīñ se tazkira-e-qahat-e-āshiqāñ tauba
hamīñ to kal tire kūche se yaar guzre haiñ
rahīn-e-vaz-e-buzurgāñ hai apnā dil ya.anī
tire hī shahr meñ tujh se hazār guzre haiñ
hamārā naam bhī rakhiye fasāna-ḳhvānoñ meñ
ki ham bhī apne savāneh-nigār guzre haiñ
ham apne josh-e-tamannā meñ bhuul baiThe the
ki ham se aur bhī ummīd-vār guzre haiñ
is anjuman meñ tujhe kaun pūchhtā 'ālī'
hazār tujh se ġharīb-ud-dayār guzre haiñ