tumheñ mujh meñ kyā nazar aa gayā jo mirā ye ruup banā ga.e
vo tamām log jo ishq the vo mire vajūd meñ aa ga.e
na tire sivā koī likh sake na mire sivā koī paḌh sake
ye hurūf-e-be-varaq-o-sabaq hameñ kyā zabān sikhā ga.e
na kar aaj ham se ye guftugū mujhe kyuuñ huī tirī justujū
are ham bhī ek ḳhayāl the so tire bhī zehn meñ aa ga.e
jo sunā ki ghar tire jā.eñge tire sehan o baaġh sajā.eñge
mire ashk uḌ ke havā ke saath unhī bādaloñ meñ samā ga.e
dil-e-shab meñ sub.h kī dhaḌkaneñ abhī ibtidā-e-ġhazal meñ thiiñ
ki vo aa.e aur tamām sher mirī hī dhun meñ sunā ga.e
jo na aap us pe hue ayaañ ye rakhegā ham ko bhī sar-girāñ
ka.ī baar le ke shikāyateñ mire dost arz o samā ga.e
ka.ī mahfiloñ meñ to yuuñ huā ki jab aa.e 'ālī'-e-ḳhush-adā
jo na khul sake to chhupe rahe jo na ro sake to rulā ga.e