hameñ milā na kabhī soz-e-zindagī se farāġh
agar bujhā hai kahīñ dil to jal uThā hai dimāġh
vahī hayāt jo nairañg-e-ḳhār-o-gul hai kabhī
kabhī khilā.e tamannā hai jo na dasht na baaġh
jahāñ bhī kho.e ga.e qāfile irādoñ ke
vahīñ se mujh ko milā terī anjuman kā surāġh
guzar rahī hai ajab tarah zindagī 'ālī'
na bujh rahā hai charāġh aur na jal rahā hai charāġh