mujhe Dubo ke bahut sharmsār rahtī hai
vo ek mauj jo dariyā ke paar rahtī hai
hamāre taaq bhī be-zār haiñ ujāloñ se
diye kī lau bhī havā par savār rahtī hai
phir us ke ba.ad vahī baasī manzaroñ ke julūs
bahār chand hī lamhe bahār rahtī hai
isī se qarz chukā.e haiñ maiñ ne sadiyoñ ke
ye zindagī jo hamesha udhār rahtī hai
hamārī shahr ke dānishvaroñ se yaarī hai
isī liye to qabā taar taar rahtī hai
mujhe ḳharīdne vaalo qatār meñ aao
vo chiiz huuñ jo pas-e-ishtihār rahtī hai