bhaTke hue aalī se pūchho ghar vāpas kab aa.egā
kab ye dar-o-dīvār sajeñge kab ye chaman lahrā.egā
suukh chale vo ġhunche jin se kyā kyā phuul ubharne the
ab bhī na un kī pyaas bujhī to ghar jañgal ho jā.egā
kam kirneñ aisī haiñ jo ab tak raah usī kī taktī haiñ
ye añdhiyārā aur rahā to phir na ujālā aa.egā
samjhā hai apne-āp se chhuT kar saarā zamāna dekh liyā
dekhnā! apne-āp meñ aa kar ye kyā kyā sharmā.egā
aisī gyaan aur dhyān kī bāteñ ham jāne-pahchānoñ se
tū āḳhir bhūlā hī kyā thā tujh ko kyā yaad aa.egā
kuchh chhoTe chhoTe dukh apne kuchh dukh apne azīzoñ ke
in se hī jīvan bantā hai so jīvan ban jā.egā
chaar baras se begāne haiñ so ham kyā begāne haiñ
rūThne vaalā jīvan-sāthī do din meñ man jā.egā
kis kis raag ke kyā kyā sur haiñ kis kis sur ke kyā kyā raag
sīkhe na sīkhe gaane vaalā be-sīkhe bhī gā.egā
'ālī'-jī ab aap chalo tum apne bojh uThā.e
saath bhī de to āḳhir pyāre koī kahāñ tak jā.egā