Jameeluddin Aali

zehn par chha gai maut ki be-hisi nind aane lagi

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
zehn par chhā ga.ī maut kī be-hisī niiñd aane lagī
DhūñDhtā huuñ añdheroñ meñ āsūdgī niiñd aane lagī
bhāgte bhāgte maut ke saa.e se ḳhud hī dhuñdlā ga.e
sochte sochte zindagī zindagī niiñd aane lagī
haiñ isī ahd meñ so tasavvur hasīñ koī apnā nahīñ
thak ga.ī hai mire shauq kī sādgī niiñd aane lagī
ḳhatm haiñ roz-o-shab kī pareshāniyāñ aur hairāniyāñ
thī vo kyā shai jo ab tak nahīñ mil sakī niiñd aane lagī
hairat-añgez rañgoñ meñ lipTī huī muztarib naġhmagī
aaj tak apnī lai meñ nahīñ Dhal sakī niiñd aane lagī
hausloñ kā hī anjām haiñ tajarbe bas bhare
āshtī āshtī āshtī āshtī niiñd aane lagī
kyā milā naġhm-o-rañg ke shauq se sher ke zauq se
ik chubhan ik dukhan ek vāmāñdgī niiñd aane lagī
Top Urdushayar.com