bayān-e-dard-e-mohabbat jo baar baar na ho
koī naqāb tire ruḳh kī parda-dār na ho
salām-e-shauq kī jur.at se dil laraztā hai
kahīñ mizāj girāmī pe ye bhī baar na ho
karam pe aa.eñ to har har adā meñ ishq hī ishq
na ho to un kā taġhāful bhī āshkār na ho
yahī ḳhayāl rahā pattharoñ kī bārish meñ
kahīñ unhīñ meñ koī sañg-e-kū-e-yār na ho
abhī hai aas ki āḳhir kabhī to aa.egā
vo ek lamha ki jab terā intizār na ho
bahut fareb samajhtā huuñ phir bhī ai 'ālī'
maiñ kyā karūñ agar un par bhī e'tibār na ho