Jameeluddin Aali

nahin ki humne kabhi haal-e-soz-e-jaan na kaha

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
nahīñ ki ham ne kabhī hāl-e-soz-e-jāñ na kahā
magar ba-hīla-e-ārā.ish-e-bayāñ na kahā
koī ḳhatā na huī jis kī ye mile pādāsh
magar yahī ki zamīnoñ ko āsmāñ na kahā
jis anjuman se huā qissa-e-junūñ āġhāz
vahīñ kabhī na kahā go kahāñ kahāñ na kahā
ye ehtirām-e-ta.alluq ye ehtiyāt to dekh
ki zindagī ko kabhī ham ne rā.egāñ na kahā
tire karam ko karam hī kahā sitam ko sitam
zahe ḳhulūs-e-tamannā ki imtihāñ na kahā
hazār ḳhushk rahā apnī zindagī kā chaman
tirī bahār ko lekin kabhī ḳhizāñ na kahā
hameñ bhī nudrat-e-uslūb thī aziiz magar
unheñ jahāñ hī pukārā ġham-e-jahāñ na kahā
Top Urdushayar.com