Jameeluddin Aali

munfail tha tera jalwa kya kya

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
munfa.il thā tirā jalvā kyā kyā
ham ne samjhā tirā manshā kyā kyā
ek thā lafz-e-mohabbat jis se
mas.ale ho ga.e paidā kyā kyā
tū hī ḳhud dekh ki tere liye kaam
mar gayā harf-e-tamannā kyā kyā
kaun jaane ki tujhe bin dekhe
tujh se miltā hai sahārā kyā kyā
jab na dekhā unheñ dekhā hī nahīñ
jab bhī dekhā unheñ dekhā kyā kyā
kis ko samjhā.eñ ki us mahfil meñ
kaise hotā hai taqāzā kyā kyā
kis qadar saḳht maqām aa.e the
ham ne rakkhā tirā pardā kyā kyā
ham jo dīvāne nahīñ ho jaate
dekhte log tamāshā kyā kyā
aaj thā raunaq-e-mahfil 'ālī'
tum na hote to vo paḌhtā kyā kyā
Top Urdushayar.com