Jameeluddin Aali

nazron se basirat ki nihan kuchh bhi nahin hai

Jameeluddin Aali

Delhi, India

1925-2015
nazroñ se basīrat kī nihāñ kuchh bhī nahīñ hai
sab kuchh hai jahāñ aur jahāñ kuchh bhī nahīñ hai
ham miT ga.e is fitrat-e-āshufta kī ḳhātir
hālāñki vo ġhārat-gar-e-jāñ kuchh bhī nahīñ hai
dil kī jo na kahiye to zabāñ kāshif-e-asrār
aur dil kī jo kahiye to zabāñ kuchh bhī nahīñ hai
dil vāloñ ko dil vāloñ se hai harf-o-hikāyat
zāhir meñ mohabbat kā nishāñ kuchh bhī nahīñ hai
rañgīn-o-nazar soz-o-manāzir se guzar kar
pahuñchā huuñ vahāñ maiñ ki jahāñ kuchh bhī nahīñ hai
ye ishq kī zāhir ho to hil jaa.eñ do-ālam
juz chand ishārāt nihāñ kuchh bhī nahīñ hai
mujh ḳhūgar-e-begānī-e-dost ko 'ālī'
be-gāñgī-e-ahl-e-jahāñ kuchh bhī nahīñ hai
Top Urdushayar.com